aur phir ek din aisa aaya wo dost bicchad gaya jise apne kareeb tha paya kya reh gaya humare paas unn yadon ke siwa woh yaadein jin pe ab kr rhe hai zindagi ka guzara ek baat toh hai janaab kaise dekhenge ab woh khwaab jin khwaabo mai ek waqt rehte the tum ab unn khwabo ko dekhke hi hojaate hai hum gum ab lagta hai ki zindagi me aage badh jau par kaise jab tujhme khoyi hui khudko mai pau kitna bhi kuch hojaye yaad aaoge tum mujhe kabhi tumhe yaad meri aaye toh milne aa jaana mujhe wahi par milungi mai jaha saath tuta tha humara jaha pe chhodna pada tha mujhe haath tumhara hum toh aapki yadon me khoye hue hai jaane kaise hora rha hai aapki zindagi me guzara?? ye toh bas kehne ki hoti hai baatein ki milugi wahi jaha saath toote the humare jab aaya toh bas apne pyaar ke khato ki raakh ko hi mai mil paaya aur uss raakh ko fir sajaaya aur tumhe lagra ki tum yaadon mei khoye par vo toh bas jo mera dil jalaaya uske dhuye se tumhe rasta na dikh paaya tumne aane me der krdi Meri umeedo ki subah me andher krdi Zara gaur se dekho janaab Mil jayega tumhare sawaalo ka jawaab Mai Aaj bhi wahi hu jaha ab tum khade ho Aankhe jhuka kr dekho zameen pe pade wo Woh har guzra hua pal dikhega Jawaab tumhara wahi pr milega Thoda zamin ke niche bhi dekhna, wahi milungi Kaha tha na zindagi khatam ho jayegi Par intezaar Krna nhi chhodungi Hum chal diye the maut ke safar pe Soch ke miloge aap hume uss paar Aapke liye toh hum kismat se takraane ko the taiyaar Khwab dekha tha humne ki kamse kam uss paar Hoga poora humara adhoora pyaar Pr kya kre akele hum lad nhi paaye Par iss baat ki khushi hai ki aap ke liye kurbaan ho paaye jab jeere the tum ne tab bhi ni kara intezaar aur marrne ke baad bhi tum chale gaye uss paar tum qismat se takraaye par mujhe toh jaan hi na paaye? Tum akele lad rahe the par khud se hi ladte rahe
Creator of this post? You can edit it here using the edit code you chose while posting.
No comments yet. Be the first to leave one!